Ved Or Vigyan,Make Money,Make Money Online,Web Hosting,Wordpress,Plugin,Cloud Computing,Uc News,Carrer,Online Income, Make Money, Blogging, Online Earning, Online Paise Kaise Kamaye,Life Style

Monday 3 December 2018

Uc News Par Post Kaise Likhe

Uc News Par Post Kaise Likhe 





Uc News Par Post Kaise Likhe


uc news par post likhakar paise kamao ye padhne me jitna assan dikhta hai utna hota nahi hai agar aap bhi uc news par post likhte hai or post ko tauyar karte hai fir bhi vo baar baar reject ho jaati hai mera mtlab hai suspend ho jaati hai ya bahot din tak panding me rahti hai to me aapko aaj aise kuch tips btaunga jiise aapki post suspand nahi hogi

hot topic


uc news par jab bhi post likhe to jitna ho sake hot topic par hi likhe hot topic uc ki taraf se hi hame recommend kiye jaate hai hot topic vo hote hai jo trend me hote hai ye aise topic hote hai jo bahot hi charch me hote hai agar aap hot topic par post likhenge  to uc news us post ko suspand karne se pahle ache se sochega 

high qwality image 


uc news me image bahot hi mayne rakhi hai agar post to bahot achi likhte hai lekin agar aapne image par dhyan nhi diya to aapki post suspand ho jati hai iske liye aap hamesha high qwality image ka hi use image jitna achi qwality ki hogi aapki post ke liye utna acha rahega or jyada se jyada aap apni post me 3 image ka use kare or 1 baat jarur dhyan rakhe aapko hamesha aisi image hi use karna hai jiske uper kisi bhi website ya kisi bhi brand ka naam na likha ho 

keyword 


aap apni post me keyword ka use bilkul kre or sahi keyword ka use keyword se mera mtlab hai aap apni post me keyword jaise {example ke,liye,saath,hua,me,} aise keyword ka jarur use kre or in keyword ko bold jarur kre 


title


uc news me title sabse jyada important hota hai agar aapki post ka title attractive nahi to ho sakta hai uc news us post ko publish to jarur kr dega lekin aapki post ko naa jyada logo ko recommend krega or naa hi log us par click krenge iske liye aap title par jyada dhyan de agar aapko attarctive title nahi banana aata to niche me kuch example aapko bata raha hu jiisee aapko title banane me aasani hogi


example jaise abhi robot 2.0 bahot hi charcha me hai or aap robot 2.0 par post likh rahe hai to iske liye title kaise banayenge iske liye aap sabse pahle film ki important baato ko notuce kre 


  • like:film ki pahle din ki kamai 
  •         film kitni language me relese ki gayi hai 
  •         film kitni screen par relese ki gayi hai 
  •         film ka budget kitna hai 

ab aapko in topic me se apni post ke liye kaise banaynge vo bhi me aapko bata deta hu 
app title banaiye robot 2.0 film ki pahle din ki kamai jaankar hairaan rah jayenge aap 
india ki sabse mahngi film robot 2:0 budget sunkar yakin nhi hoga aapko
sirf hindi hi nhi or bhi bahot saari lenguage me relese ki gayi robot 2.0 
robot 2.0 relese hui ek sath itne hajar screen par 

ye kuch title mene aapko sikhaane ke liye banaye i hope aapko ab title banane me help ho payegi 

customize 


post likhne ke baad aap apni post ko customize jarur kre isse aapko layout ki problem nhi hogi or post dikhne me bhi achi legegi or saath me aap apni spelling mistake jarur dhyan de kyuki uc news apne reader ko hamesha best dena pasand karta hai or agar aapki post par bahot spelling mistake hogi to aapki post suspend ki jaa sakti hai 

category

jab bhi aap uc news par post likhe to uski category bilkul sahi select kre agar ap category galat select karte hai to aapki post suspand ho sakti hai 

request

jab bhi aap uc news par post likhe uske last me aap likh share or follow karne ki request jarur kre issse aapki post par viwe bhi badhenge or aapka channle bhi grow karga 













No comments:

Post a Comment

thanks for comment

Followers